INTRODUCTION
Difference between ku band and c band lnb
Namaskar doston aap sabhi ka ek bar fir se swagat Hai hamari website per hamari website per aap sabhi ko sari news dekhne Ko Mil jaati hai agar aapane abhi tak humko bookmark nahin kiya hai to bookmark kar len jisse aap sabhi ko DD free dish aur bhi sari DTH ke bare mein update dekhne Ko Mil jaati Hai Difference between ku band and c band lnb. LNB ka use signal ko gather krke set top box tak bhejna hota hai yeh signal hme satellite ke dwara prapt hota hai . badi lnb c band aur choti lnb ku band hoti hai
Difference between ku band and c band lnb
aaj ki is artical mein baat karne Wale Hain C band versis Ku band lnb jaisa ki aap sabhi logon ne apni chhoti wali chhatri per dekha hoga ek camera ki Aakar ka ek Saman laga hua hota Hai is chij ko ham lnb bolate Hain hamari chhoti chhatri per ya ek chhote Aakar ki LNB hoti hai jiska use ham log signal catch karne mein karte Hain LNB Kai prakar ki hoti hain Ku band aur C band
KU BAND
agar aapke yaha dd free dish laga hua hai toh aapne yeh lnb ko apne dish antenna pe laga hua jarur dekha hoga Ku band ka Aakar thoda Chhota hota hai aur yah chhoti chhatri per kam aata Hai jiska use Ham normal DTH service ke liye karte Hain jaisa ki DD free dish Tata Play Videocon d2h Airtel DTH aur sun DTH. is lnb ka use hum ghar ke dth me krte hai . yeh lnb ka frequency 09750 se start hoti hai aur 10600 tak extend krti hai .

C BAND
aur ab baat karte hain C band LNB ki to ya hamen normal market mein dekhne Ko nahin milati Hai iska use Ham C band satellite ( example:- asiasat 105e, intelsat 68.5e ) ko catch karne mein karte Hain ya bahut hi rare chij Hoti Hai hamen bahut aasani se nahin milati hai. iska use Ham chhoti chhatri per nahin kar sakte hain iske liye hamen kam se kam 4 feet dish antenna ya isase adhik dish antenna ka use karna padta hai . iski frequency raange 05150 hoti hai isiliye isko badi dish antenna ki jarurat hoti hai .
iske liye hme kam se kam 4 feet dish antenna ki jarurat padti hai . agar aapko acche signal chahiye toh kam se kam 6 feet dish antenna chahiye jisse aapko koi watching viewer experience me koi interruption na aaye

LNB PRICE
lnb ki price ki baat karte Hain to aapko ku band lagbhag ₹100 Se lekar ₹500 Tak dekhne Ko Mil jaati Hai aur c band ki price ki baat karte Hain to yah hamen lagbhag ₹1000 se ₹10000 Tak dekhne Ko milati Hai normal DTH users ko c band lnb ka koi Kam nahin hota sirf aur sirf DTH operators aur cable operators ko C band LNB ka kam hota Hai isiliye is LNB ki price jyada hai agar aapko bhi C band LNB ki jarurat hai to hamare WhatsApp number per humse sampark kar sakte hain
agar aapane abhi tak hamare YouTube channel sabka DD free dish ko subscribe nahin kiya hai to turant kar le kyunki vahan per ham log bahut sari news aur bahut sari videos lekar aate rahte hain asha karte hain aapko yah artical pasand aaya hoga comment Karen agar aapko koi bhi jankari chahie to yah bhi jarur comment Karen dhanyvad